Paharon Ne Bhi Mana Hai
پہاڑوں نے بھی مانا ہے یہواہ یری کا فرمان
سمندروں نے بھی مانا ہے یہواہ یری کا فرمان
Pahaadon Ne Bhi Maana Hai Yehwah Yireh Ka Farman
Samundron Ne Bhi Maana Hai Yehwah Yireh Ka Farman
اس کے فرمانے سے ہو جاتے پہاڑ بھی میدان ہیں
اس کے فرمانے سے ہو جاتے زندہ وہ بھی جو بے جان ہیں
بادشاہوں نے بھی مانا ہے یہواہ یری کا فرمان
Is Ke Farmane Se Ho Jaate Pahaad Bhi Maidan Hain
Is Ke Farmane Se Ho Jaate Zinda Woh Bhi Jo Be Jaan Hain
Badshahoon Ne Bhi Maana Hai Yehwah Yireh Ka Farman
یہ درخت بھی جھکتے ہیں سارےیہواہ خدا کے حضور
آسمانوں کے لشکر بھی سارے جھکتے ہیں خدا کے حضور
ساری دنیا نے بھی مانا ہے یہواہ یری کافرمان
Yeh Darakht Bhi Jhukte Hain Sare Yehwah Khuda Ke Huzoor
Aasmaanon Ke Lashkar Bhi Sare Jhukte Hain Khuda Ke Huzoor
Saari Duniya Ne Bhi Maana Hai Yehwah Yireh Ka Farman
اس کے فرمانے سے کھل جاتے ہیں مرجھا جاتے ہیں جو پھول
اس کے بیٹے نے اپنے لہو سے خرید لیا ہم کو مول
ذرے ذرے نے بھی مانا ہےیہواہ یری کا فرمان
Is Ke Farmane Se Khil Jaate Hain Marjha Jaate Hain Jo Phool
Is Ke Bete Ne Apne Lahu Se Khareed Liya Hum Ko Mol
Zaray Zaray Ne Bhi Maana Hai Yehwah Yireh Ka Farman
@GEETANDZABOOR @GEETAURZABOOR
< Mazameer || Zaboor || Psalm || Geet >
#Geet #Lyrics #MasihiGeet #Paharonnebhi #Paharonnebhimanahai