Kaisi Thi Ghamnaak Kahani
کیسی تھی غمناک کہانی
درد میں ڈوبا قصہ تھا
جس کو سن کر باغ کا ہر گل
خون کے آنسو رویا تھا
Kaisi Thi Ghamnaak Kahani
Dard Mein Dooba Qissa Tha
Jis Ko Sun Kar Baagh Ka Har Gul
Khoon Ke Aansoo Roya Tha
موت کی وادی غم کا سورج
اس کا یہی بس راستہ تھا
گلی گلی اور کوچہ کوچہ
اس نے سب کو ڈھونڈا تھا
Maut Ki Waadi Gham Ka Sooraj
Us Ka Yahi Bas Raasta Tha
Gali Gali Aur Koocha Koocha
Us Ne Sab Ko Dhoonda Tha
اپنی سولی آپ اٹھا کر
بازاروں سے گزرا تھا
کرب کی راہ میں کانٹوں پر وہ
گرتا اٹھتا چلتا تھا
Apni Sooli Aap Utha Kar
Bazaaron Se Guzra Tha
Karb Ki Raah Mein Kaanton Par Woh
Girta Uthta Chalta Tha
سب کا ساتھی سب کا پیارا
آج صلیب پر تنہا تھا
اس کی سندر لاش کو لے کر
اندھیاروں میں رکھا تھا
Sab Ka Saathi Sab Ka Pyaara
Aaj Saleeb Par Tanha Tha
Us Ki Sundar Laash Ko Le Kar
Andhiyaron Mein Rakha Tha
تیسرے روز مسیحا میرا
بندھن توڑ کے جاگا تھا
دور پہاڑوں کی چوٹی پر
دیپ لہو کا جلتا تھا
Teesre Roz Masiha Mera
Bandhan Tod Ke Jaaga Tha
Door Pahaadon Ki Choti Par
Deep Lahoo Ka Jalta Tha
@GEETANDZABOOR @GEETAURZABOOR
< Mazameer || Zaboor || Psalm || Geet >
#Geet #Lyrics #MasihiGeet #Kasithighamnaak #kasithighamnaakkahani