The Book of Christian Hymns
home
geet
zaboor
English Songs
All Hymns
prayer request
mp3 | videos

Gungnaati raat, jhilmilati raat


 گنگناتی رات جھلملاتی رات پیدا ہوا شاہ کائنات
 دھرتی سجی بانسری بجی آج سے ہے خدا ہمارے ساتھ
 ہالیلویاہ
Gungnaati raat, jhilmilati raat, paida hua Shah Kainaat
Dharti saji, bansri baji, aaj se hai Khuda humare saath
Hallelujah
 چمکا ستارہ روشنی ہوئی بہنے لگی نور کی ندی
 ابن مریم کا ہوا جنم اور جہاں کی ہوئی مخلصی
 ہالیلویاہ
Chamka sitara, roshni hui, behne lagi noor ki nadi
Ibn Maryam ka hua janam aur jahan ki hui mukhlisi
Hallelujah
 وہ ہے منجی اور بادشاہ وہ ہے زندگی اورراہ
وہ ہے سچائی اور سلامتی وہ ہمارا ہے کامل خدا 
ہالیلویاہ
Woh hai Munji aur Baadshah, woh hai zindagi aur raah
Woh hai sachai aur salaamti, woh hamara hai kaamil Khuda
Hallelujah
آسماں پہ ہو تمجید خدا اور زمین کے لوگوں میں صلح
 فرشتوں کے ساتھ گائیں دن اور رات ہم مسیح جہاں کی ثنا
 ہالیلویاہ
Aasmaan pe ho tamjeed Khuda aur zameen ke logon mein sulah
Farishteon ke saath gaayein din aur raat, hum Masiha jahan ki thana
Hallelujah

Share Blessing With Others

@GEETANDZABOOR @GEETAURZABOOR
< Mazameer || Zaboor || Psalm || Geet >

#Geet #Lyrics #MasihiGeet #Gungnaatiraat #Gungnaatiraatjhilmilatiraat