Aasmaan Ke Taare Aaj
آسماں کے تارے آج حیران ہیں
چاند سورج سے بڑھ کر چرنی کے مہمان ہیں
Aasman Ke Taare Aaj Hairaan Hain
Chaand Sooraj Se Badh Kar Charni Ke Mehmaan Hain
مہکی ہوئی ہے فضا لہرا رہی ہے صبا
ہررنگ میں ہے ثنا حمد کرتے فرشتے اور انسان ہیں
چاند سورج سے بڑھ کر چڑھنے کے مہمان ہیں
Mehki Hui Hai Faza Lehra Rahi Hai Saba
Har Rang Mein Hai Sanaa Hamd Karte Farishte Aur Insaan Hain
Chaand Sooraj Se Badh Kar Charhne Ke Mehmaan Hain
سیلاب افشاں بہا دھرتی کا چہرہ دھلا
برسا ہے نور خدا آج کے یہ لمحے کتنے مہربان ہیں
چاند سورج سے بڑھ کر چرنی کے مہمان ہیں
Seelaab Afshaan Beha Dharti Ka Chehra Dhala
Barsaa Hai Noor Khuda Aaj Ke Yeh Lamhe Kitne Meherbaan Hain
Chaand Sooraj Se Badh Kar Charni Ke Mehmaan Hain
نبیوں نے دی جو صدا اس کا تجسم ہوا
آیا مسیح میرا اس کے ہی در پہ آکے جھکتے دل و جان ہیں
چاند سورج سے بڑھ کرچرنی کے مہمان ہیں
Nabiyon Ne Di Jo Sada Is Ka Tajassum Hua
Aaya Masiha Mera Is Ke Hi Dar Pe Aake Jhakte Dil O Jaan Hain
Chaand Sooraj Se Badh Kar Charni Ke Mehmaan Hain
@GEETANDZABOOR @GEETAURZABOOR
< Mazameer || Zaboor || Psalm || Geet >
#Geet #Lyrics #MasihiGeet #Aasmanketaare #Aasmanketaareajhhairaan