The Book of Christian Hymns
home
geet
zaboor
English Songs
All Hymns
prayer request
mp3 | videos

Mere Saare Chashme Tujh


میرے سارے چشمے تجھ میں ہیں میں گیت گاؤں گا
 سازوں کو بجا کر اپنے خدا کو سدا جلال دوں گا
Mere Saare Chashme Tujh Mein Hain
Main Geet Gaaon Ga
Saazon Ko Baja Kar Apne Khuda Ko
Sada Jalaal Doon Ga
 شہر پاک پہاڑ پر ہے خداوند پاک خدا کا
 بنیاد میری وہاں رکھی ہے عجیب کام ہے یہ خوشی کا
Shehar-e-Paak Pahaad Par Hai
Khudawand Paak Khuda Ka
Bunyaad Meri Wahan Rakhi Hai
Ajeeb Kaam Hai Yeh Khushi Ka
 یعقوب کے مسکن سے بہتر سے صیون میرے خدا کا
 کیسے بیان کروں میں کچھ چاہتا نہیں دنیا کا
Yaqoob Ke Maskan Se Behtar
Se Siyon Mere Khuda Ka
Kaise Bayaan Karoon Main
Kuch Chahta Nahi Duniya Ka
 انسانوں کی عزت سے ذلت ہے مسیح کی بہتر
شاہی شہر میں جاؤں گا فتح دنیا پر پا کر
Insanon Ki Izzat Se Zillat Hai
Masiha Ki Behtar
Shahi Shehar Mein Jaaon Ga
Fatah Duniya Par Pa Kar
صیون کو رد کرتے جو اور وہ بھی جوکرتے حقارت
 دیکھیں گے صیون کبھی نہ اندھیرے کے ہوں گے وارث
Siyon Ko Radd Karte Jo
Aur Woh Bhi Jo Karte Haqarat
Dekhein Ge Siyon Kabhi Na
Andhere Ke Hon Ge Waris
  ہم راہ برے کی کھڑے ہیں جن کے ماتھے پہ نام پتا کا
 گیت نیا وہ گاتے ہوں گے اورساتھ میں بھی ہوں گا
Hum Raah Bare Ki Khade Hain
Jin Ke Maathay Pe Naam Pita Ka
Geet Naya Woh Gaate Hon Ge
Aur Saath Main Bhi Hoon Ga

Share Blessing With Others

@GEETANDZABOOR @GEETAURZABOOR
< Mazameer || Zaboor || Psalm || Geet >

#Geet #Lyrics #MasihiGeet #Meresaarechashme #Meresaarechashmetujhmienhai